Rulwa Ke Mujhko Yar Gunahgar Kar Nahin
rulwa ke mujh ko yar gunahgar kar nahin
aankhen hain tar to hon mera daman to tar nahin
ummid-e-wasl se bhi to sadma na kam hua
kya dard jaega jo dawa ka asar nahin
din ko bhi dagh-e-dil ki na kam hogi raushni
ye lau hi aur hai ye charagh-e-sahar nahin
tanha chalen hain marka-e-ishq jhelne
un ki taraf KHudai hai koi idhar nahin
KHali safai-qalb se behtar hai dagh-e-ishq
kya aib hai ki jis ke muqabil hunar nahin
qatil ki rah dekh le dam bhar na zahr kha
ai dil qaza ko aane de be-maut mar nahin
kyunkar yahan na ek hi karwaT paDa rahun
hu ka maqam gor ki manzil hai ghar nahin
ran-khan paDenge jab kahin dikhlaega wo shakl
be-kisht-e-KHun hui ye muhim ho ke sar nahin
aankhen jhapak rahi hain meri barq-e-husn se
pesh-e-nazar ho tum mujhe tab-e-nazar nahin
yaro batao kis taraf aankhen bichhaun main
us shoKH ki kidhar ko hai aamad kidhar nahin
banda-nawaz sab hain ruku o sujud mein
taat se ghafil aap ki koi bashar nahin
pariyon ke pas jaun main kyun dil ko bechne
sauda jo mol lun ye mujhe dard-e-sar nahin
dard-e-firaq-e-yar se donon hain be-qarar
qabu mein dil nahin mutahammil jigar nahin
rah-e-adam mein sath rahegi teri hawas
parwa nahin na ho jo koi ham-safar nahin
KHalwat-sara-e-yar mein pahunchega kya koi
wo band-o-bast hai ki hawa ka guzar nahin
uThwa ke apni bazm se dil ko mere na toD
pahlu mein de ke ja mujhe barbaad kar nahin
hasti kidhar hai aalam-e-arwah hai kahan
ghaflat-zada hun mujh ko kahin ki KHabar nahin
zanjir utar gai tera diwana mar gaya
sannaTa qaid-KHane mein hai shor-o-shar nahin
chandra ke mujh ko bole wo aaKHir jo shab hui
faq ho gaya hai rang kisi ka sahar nahin
barpa hai hashr-o-nashr jo raftar-e-yar se
ye kaun sa chalan hai qayamat agar nahin
durr-e-najaf to jism hai us naznin ka
mu-e-najaf mein baal paDa hai kamar nahin
didar ka laga ke main aaya hun aasra
ummid-war hun mujhe mayus kar nahin
yaro sitam hua hui aaKHir shab-e-visal
sina 'sharaf' ye kuT rahe hain gajar nahin
(906) Peoples Rate This