Rang Jin Ke MiT Gae Hain Un Mein Yar Aane Ko Hai
rang jin ke miT gae hain un mein yar aane ko hai
dhum hai pazhmurda phulon mein bahaar aane ko hai
yar kuche mein tere dhuni ramane ke liye
gham-zada hasrat-zada ek KHaksar aane ko hai
rahm karna ab ki meri aankh khulne ki nahin
aaKHiri ghash mujh ko ai parwardigar aane ko hai
koi dam mein hashr hoga kuchh KHabar bhi hai tumhein
be-qarari lati hai ek be-qarar aane ko hai
bhage jate hain bagule kanpta hai najd-e-qais
KHak uDi kis ki yahan kis ka ghubar aane ko hai
hosh uDe jate hain yaro ruh hai sahmi hui
said-gah-e-ishq se kis ka shikar aane ko hai
jaan-e-jaan tu kijo jaan-baKHshi ki tujh ko dekhne
ek be-kas be-KHud o be-iKHtiyar aane ko hai
dard-e-tanhai se chhuData hai aalam naza ka
be-qarari kuch karti hai qarar aane ko hai
gul-ruKHon ki bazm mein jaane ko hai mera ghubar
peshwai ke liye abr-e-bahaar aane ko hai
ab meri aankhon ko hoga walwala didar ka
hasrat in mein aa chuki hai intizar aane ko hai
hogi ab aarasta turbat shahid-e-naz ki
chadar-e-gul bichhti hai sham-e-mazar aane ko hai
be-wafa tum ba-wafa main dekhiye hota hai kya
ghaiz mein aane ko tum ho mujh ko pyar aane ko hai
ghuncha-o-gul kar rahi hain kyun gareban chaak chaak
kaun se rashk-e-chaman ka dil-figar aane ko hai
hijr mein dam ghuTne ko hai kuch hai tafrih ka
sans rukne ko hai hichki chand bar aane ko hai
baiThi hai laila gareban phaDne ke waste
kis ke majnun ka libas-e-tar-tar aane ko hai
ghash se chaunko aankh kholo dam na toDo ai 'sharaf'
shukr ka sajda karo uTh baiTho yar aane ko hai
(943) Peoples Rate This