Raha Karte Hain Yun Ushshaq Teri Yaad O Hasrat Mein
raha karte hain yun ushshaq teri yaad o hasrat mein
base rahte hain jaise phul apni apni nikhat mein
khicha husn-e-wafa ho kar jo ye taswir-e-wahdat mein
KHuda ka nur shamil ho gaya insan ki surat mein
nahin hai lazzat-e-duniya o ma-fiha jo qismat mein
KHuda-malum hissa hai mera kis KHwan-e-neamat mein
safai-ruKH baDhi aisi hua aaina hairat mein
jawani mein nazar aane laga munh us ki surat mein
phalun phulunga main duniya se ja kar bagh-e-jannat mein
azal se parwarish hota hun main gulzar-e-rahmat mein
mahall-e-ishq mein jo KHun mushtaqon ka bahta hai
hua karti hain rang-ameziyan us ki imarat mein
karo aisi adaen hum se hum taswir ho jaen
rahen hum aur tum ek jaan do qalib ho ke KHalwat mein
mili hai meri qismat se mujhe neamat tawakkul ki
jo marghub-e-KHuda hain wo maze hain us ki lazzat mein
KHudai wajd karti hai jahan main chahchahata hun
hazaron mein hun ek bulbul tere gulzar-e-qudrat mein
namaz-e-panjgana mein bhi har ja zikr usi ka hai
tashahhud mein azan mein sajde mein niyyat mein rakat mein
machal jaane par us na-faham ke rahm us ko aaya hai
liya hai mere tifl-e-ashk ko daman-e-rahmat mein
dil-azari ka ham-surat se apne mashwara lenge
ilahi KHair aaina talab hota hai KHalwat mein
mare par bhi 'sharaf' ki donon aankhen DabDabaati hain
KHuda jaane ki dam nikla hai un ka kis ki hasrat mein
(945) Peoples Rate This