Paya Tere Kushton Ne Jo Maidan-e-bayaban
paya tere kushton ne jo maidan-e-bayaban
shan-e-chaman-e-KHuld hui shan-e-bayaban
diwana tera mar ke hua zinda-e-jawed
ruh us ki jo nikli to hui jaan-e-bayaban
mujh sa bhi jahan mein koi saudai na hoga
samjha lahad-e-qais ko aiwan-e-bayaban
virana-nashini hai azal se meri jagir
qismat ne diya hai mujhe farman-e-bayaban
wahshat pe meri aahuon ke bahte hain aansu
hairat pe meri rote hain haiwan-e-bayaban
hai aalam-e-hu turbat-e-majnun ka mujawar
sannaTe ka aalam hai nigahban-e-bayaban
jis roz mere hosh ke ham-rah uDenge
dam toD ke mar jaenge murghan-e-bayaban
ek din hi ye mauquf hua KHak ka uDna
kya kya na kiya qais ne saman-e-bayaban
parwa na thi basti ki na thi yaad watan ki
allah re mad-hoshi-o-nisyan-e-bayaban
rahte hain mere gird pari-zad hazaron
hun aalam-e-wahshat mein sulaiman-e-bayaban
laila pe jo aalam hai to majnun bhi hai KHush-ru
wo hur-e-bayaban hai wo ghilman-e-bayaban
is tabqe ki manzur jo ki tum ne tabahi
barbaadi hui dast-o-gareban-e-bayaban
afsos hai is najd ko majnun ne basaya
laila jise kahti hai bayaban-e-bayaban
dil khol ke ji chahta hai KHak uDaun
phirne ko mila hai mujhe maidan-e-bayaban
jis din se bani hai tere diwane ki turbat
hote hain pari-zad bhi qurban-e-bayaban
sheron ke hila Dale hain dil us ke junun ne
majnun hai ki hai rustam-e-dastan-e-bayaban
jis waqt 'sharaf' laila o majnun ne qaza ki
ek ghul hua ruKHsat hue mehman-e-bayaban
(951) Peoples Rate This