Pari-paikar Jo Mujh Wahshi Ka Pairahan Banate Hain
pari-paikar jo mujh wahshi ka pairahan banate hain
gareban chaak kar dete hain be-daman banate hain
junun mein ja-ba-ja hum jo lahu rote hain sahra mein
gulon ke shauq mein virane ko gulshan banate hain
jinhen ishq-e-dili hai wo tumhaara nam japne ko
tahaarat se hamari KHak ki misran banate hain
muraqqa khinchte hain jo tere ganj-e-shahidan ka
tah-e-shamshir har taswir ki gardan banate hain
diya karte ho tum jis tarah se bal zulf-e-pechan ko
musafir ke liye yun phansiyan rahzan banate hain
hasinan-e-chaman par KHatma hai jama-zebi ka
phaTa paDta hai joban jo ye pairahan banate hain
hamesha shefta rakhti hai apni husn-e-qudart ka
KHud us ki ruh ho jate hain jis ka tan banate hain
irada hai jo shamshir-e-do-dam ke munh pe chaDhne ka
tere jaan-baz chaar aaina o joshan banate hain
raha karte hain wo dil mein phira karte hain nazron mein
ata karte hain nur aankhon ko dil raushan banate hain
salah-e-ishq de de kar kiye dete hain KHud rafta
tere shaidai dil se dost ko dushman banate hain
koi chaak-e-jigar bulbul ka gul-chinon se pata hai
nikharne ko gul apne apne pairahan banane hain
gulon ke Dher la la ke chaman se us mein phunkenge
qarib-e-bostan bedad-gar gulKHan banate hain
madad tayar hai naqsha iram ka khinch ke aaya hai
shahid-e-naz par rahm aa gaya madfan banate hain
muraqqa khinchte hain bagh ka jo husn qudrat se
gul-e-shadab ka kya rang kya roghan banate hain
talluq zeb-o-zinat se nahin kuchh KHaksaron ko
'sharaf' miTTi mein rangte hain jo pairahan banate hain
(903) Peoples Rate This