Nahaq O Haq Ka Unhen KHauf-o-KHatar Kuchh Bhi Nahin
nahaq o haq ka unhen KHauf-o-KHatar kuchh bhi nahin
be-KHabar hain wo zamane ki KHabar kuchh bhi nahin
dhum hi dhum thi madfan ki magar kuchh bhi nahin
KHak is ghar mein basar hogi ye ghar kuchh bhi nahin
hae afsos hui kaun si sohbat barKHast
shab ko mearaj mein the waqt-e-sahar kuchh bhi nahin
kah rahi hai ye mare dil se mohabbat us ki
hun to iksir magar mujh mein asar kuchh bhi nahin
aa rahi hai ye sada gor ke sannaTe se
main wo aalam hun jahan sham-o-sahar kuchh bhi nahin
is nazakat se to main kahe ko bismil hunga
tum chhuri pherte ho mujh ko KHabar kuchh bhi nahin
hatif-e-ishq to kahta hai idhar sab kuchh hai
aalam-e-yas ye kahta hai udhar kuchh bhi nahin
aankh phir jati hai mashuqon ki mayuson se
gham-zada kuchh nahin hasrat ki nazar kuchh bhi nahin
turbat-e-qais se kahti hai lipaT kar laila
hum taDapte hain paDe tum ko KHabar kuchh bhi nahin
manzil-e-gor mein kya jaaniye kya guzregi
taza warid hain abhi hum ko KHabar kuchh bhi nahin
lan-tarani ki jo takid hai ai dil ye khula
bab-e-didar mein manzur-e-nazar kuchh bhi nahin
KHwab dekha tha ki tha wasl ki shab ka saman
jashn tha raat ko hangam-e-sahar kuchh bhi nahin
us ko gahri ise ye ochhi chhuri wah ai yar
zaKHm-e-dil ghaw hua zaKHm-e-jigar kuchh bhi nahin
rishta-e-jaan se bhi nazuk hai wo bariki mein
gul ki rag phir hai gudaz us ki kamar kuchh bhi nahin
qabr mein huron ke aane ka uThaen kya lutf
dida o jism o dil o jaan o jigar kuchh bhi nahin
ras aa jaegi jis ko wo use chahenge
phir mohabbat mein sabhi kuchh hai agar kuchh bhi nahin
mutmain hun rah-e-isyan mein teri rahmat se
wo musafir hun ki tashwish-e-safar kuchh bhi nahin
ai 'sharaf' hai gul-e-maqsud ke har-su bauchhaar
wah ai KHubi-e-qismat ki idhar kuchh bhi nahin
(776) Peoples Rate This