LuTate Hain Wo Bagh-e-ishq Jae Jis Ka Ji Chahe
luTate hain wo bagh-e-ishq jae jis ka ji chahe
gul-e-dagh-e-tamanna luT lae jis ka ji chahe
charagh-e-yas-o-hasrat hum hain mahfil mein hasinon ki
jalae jis ka ji chahe bujhae jis ka ji chahe
kasi mashuq ki koi KHata main ne nahin ki hai
satane ko zabardasti satae jis ka ji chahe
ba-hal shauq-e-shahadat mein kiya hai hum ne KHun apna
hamare shauq se purze uDae jis ka ji chahe
do-alam mein nahin ai yar mujh sa shefta tera
mohabbat yun jatane ko jatae jis ka ji chahe
KHushi o na-KHushi mauquf hai apni hasinon par
hansae jis ka ji chahe rulae jis ka ji chahe
sadaen surKH-rui deti hai ganj-e-shahidan mein
lahu ka meinh barasta hai nahae jis ka ji chahe
jo ho jaega parwana charagh-e-husn ka us ke
karega nam raushan lau lagae jis ka ji chahe
ajaib lutf hain ku-e-tawakkul ki faqiri mein
KHudai hai yahan dhuni ramae jis ka ji chahe
koi ghuncha na pahunchega tere husn-e-tabassum ko
sar-e-maidan chaman mein muskurae jis ka ji chahe
jagah us shama-ru ne di hai parwanon ke lashkar ko
sar-e-maidan chaman main muskurae jis ka ji chahe
pasheman ghuncha-o-gul honge mere zaKHm-e-KHandan se
hanse ji chahe jis ka muskurae jis ka ji chahe
ata ki nahr-e-gulshan us ne apne ishq-bazon ko
ijazat di yahan nikhre nahae jis ka ji chahe
KHushi ho ho ke KHud sayyaad kahta hai anadil se
bahaar aai hui hai chahchahae jis ka ji chahe
na dekhenge kisi betab ko wo aankh uTha ke bhi
kaleje ko masose tilmilae jis ka ji chahe
marenge us pe kalma paDh ke us ka jaan hum denge
KHudai bhar mein hum ko aazmae jis ka ji chahe
ajab KHushbu hai gul-daste mein shauq-o-zauq ke us ki
karega wajd pairahan basae jis ka ji chahe
dua-e-maghfirat tum do utare qabr mein koi
paDho talqin tum shana hilae jis ka ji chahe
'sharaf' dam toDte hain ek pari-ru ki judai mein
ajab aalam hai un ka dekh aae jis ka ji chahe
(958) Peoples Rate This