Kis Ke Hathon Bik Gaya Kis Ke KHaridaron Mein Hun
kis ke hathon bik gaya kis ke KHaridaron mein hun
kya hai kyun mashhur main saudai bazaron mein hun
gham nahin jo beDiyan pahne giraftaron mein hun
naz hai is par ki tere naz-bardaron mein hun
tere kuche mein jo mera KHun ho ai lala-ru
surKH-ru yaron mein hun gul-rang gulzaron mein hun
is qadar hai ai pari-ru zor par josh-e-junun
sar se toDun qaid agar lohe ki diwaron mein hun
ishq se matlab na tha dil zulf mein uljha na tha
tha jab aazadon mein tha ab to giraftaron mein hun
hogi mashuqon ko KHwahish mujh nahif-o-zar ki
gul karenge aarzu meri main un KHaron mein hun
dil ko dhamkana hai dhyan us nargis-e-bimar ka
jaan le kar chhoDta hun main un aazaron mein hun
us mere saude ka duniya mein Thikana hai kahin
jaan ka gahak jo hai us ke KHaridaron mein hun
kis se puchhun kya karun sayyaad ki marzi ki baat
taza warid hun qafas mein to giraftaron mein hun
aarzu hai main wo gul ho jaun ai rashk-e-chaman
bagh mein din bhar rahun shab ko tere haaron mein hun
aa gaya dam ziq mein lekin na ye sabit hua
kaun hai isa mera main kis ke bimaron mein hun
Dariye aisi aankh se jo saf ishaare se kahe
nargis-e-bimar hun par mardum-azaron mein hun
dil to main sadqa karun tum us pe meri jaan lo
tum hi munsif ho ki main aise gunahgaron mein hun
kaun hun kya hun kahan hun main nahin ye bhi KHabar
KHud-ghalat KHud-rafta hun main KHak hoshyaron mein hun
hai ye abru ka ishaara thi jahan ki zul-fiqar
ai 'sharaf' main us sulah-KHani ki talwaron mein hun
(788) Peoples Rate This