KHuda-malum Kis Ki Chand Se Taswir MiTTi Ki

KHuda-malum kis ki chand se taswir miTTi ki

jo goristan mein hasrat hai gareban-gir miTTi ki

nawazi sarfaraazi ruh ne taswir miTTi ki

KHusha-tale KHusha-qismat KHusha-taqdir miTTi ki

haqiqat mein ajaib-shobada-pardaz-e-duniya hai

ki jo insan ki surat tha wo hai taswir miTTi ki

jise ruya mein dekha tha milaya KHak mein us ne

muqaddar ne hamare KHwab ki tabir miTTi ki

mazaron mein dikha kar ustuKHan hasrat ye kahti hai

koi pursan nahin un ka ye hai tauqir miTTi ki

ye nahaq barhami hai KHaksaron ke ghubaron se

KHarabi aandhiyon ne ki hai be-taqsir miTTi ki

wo wahshi tha ki mar ke bhi na maidan-e-junun chhuTa

meri mayyat rahi sahra mein daman-gir miTTi ki

na li turbat ko gulshan mein jagah li bhi to sahra mein

riyazat sab hamari tu ne ai taqdir miTTi ki

mere sayyaad ne jis jis jagah tuda banaya tha

wahan ja ja ke bu lete phire naKHchir miTTi ki

azal ke roz se ghash hain jo insan KHaksari par

sarisht un ki hai miTTi se ye hai tasir miTTi ki

ye aalam ho gaya hai jamte jamte gard-e-sahrai

ki majnun puchhta hai kya ye hai zanjir miTTi ki

hamare KHak ke tude ko nabud aa ke kar denge

nishani bhi na chhoDenge tumhaare tir miTTi ki

ijazat se tumhaari guftugu ki sang-rezo ne

barabar sunne walon ne suni taqrir miTTi ki

gali mein yar ki aise hue ho gard-aluda

ki bilkul ho gae ho ai 'sharaf' taswir miTTi ki

(836) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHuda-malum Kis Ki Chand Se Taswir MiTTi Ki In English By Famous Poet Agha Hajju Sharaf. KHuda-malum Kis Ki Chand Se Taswir MiTTi Ki is written by Agha Hajju Sharaf. Read famous Poem KHuda-malum Kis Ki Chand Se Taswir MiTTi Ki for youth and Student by Agha Hajju Sharaf. Free Download KHuda-malum Kis Ki Chand Se Taswir MiTTi Ki in PDF.