Jo Samna Bhi Kabhi Yar-e-KHub-ru Se Hua
jo samna bhi kabhi yar-e-KHub-ru se hua
zamane bhar ka yurish mujh pe chaar su se hua
kaha ishaaron se main ne ki tum pe marta hun
jo nutq band mera un ki guftugu se hua
kisi ko bhi na hawas thi halal hone ki
riwaj-e-shauq-e-shahadat mere gulu se hua
jidhar nigah ki jalwa tera nazar aaya
kamal-e-kashf mujhe teri aarzu se hua
khula na haal kisi par ki kya mizaj mein hai
KHudai mein koi waqif na us ki KHu se hua
ajab ghaDi se gareban phaTa tha majnun ka
tamam umr na waqif kabhi rafu se hua
baDe-baDon ko lagaya na munh kabhi main ne
wo zarf hun ki na waqif kabhi subu se hua
wo KHud bhi kar gae tar aansuon se turbat ko
gali mein yar ki madfun is aabru se hua
bahaar-e-bagh ko aae jo dekhne be-yar
dimagh aur pareshan gulon ki bu se hua
chaDhae gor-e-ghariban pe gul jo us gul ne
chaman bahisht ka paida maqam-e-hu se hua
halal hone ko sayyaad se mohabbat ki
qaza jo aai to manus main adu se hua
KHudai karne laga yar be-niyazi se
baDa ghurur use meri aarzu se hua
jahan se mahfil-e-mearaj mein hui talabi
bashar ka martaba ye us ki justuju se hua
lagate hain jo sab aankhon se aab-e-zamzam ko
'sharaf' ye faiz ka chashma meri wazu se hua
(861) Peoples Rate This