Jab Se Hua Hai Ishq Tere Ism-e-zat Ka

jab se hua hai ishq tere ism-e-zat ka

aankhon mein phir raha hai muraqqa najat ka

malik hi ke suKHan mein talawwun jo paiye

kahiye yaqin laiye phir kis ki baat ka

daftar hamari umr ka dekhoge jab kabhi

fauran use karoge muraqqa najat ka

ulfat mein mar miTe hain to puchhe hi jaenge

ek roz lutf uThaenge is wardat ka

surKHi ki KHatt-e-shauq mein hajat jahan hui

KHun-e-jigar mein nok Duboya dawat ka

mujid jo nur ka hai wo mera charagh hai

parwana hun main anjuman-e-kaenat ka

ai sham-e-bazm-e-yar wo parwana kaun tha

lau mein teri ye dagh hai jis ki wafat ka

mujh se to lan-taraniyan us ne kabhi na kin

musi jawab de na sake jis ki baat ka

is be-KHudi ka denge KHuda ko wo kya jawab

dam bharte hain jo chand nafas ke hubab ka

qudsi hue mutia wo taat bashar ne ki

kul iKHtiyar haq ne diya kaenat ka

aisa itab-nama to dekha suna nahin

aaya hai kis ke waste sura baraat ka

zi-ruh mujh ko tu ne kiya musht-e-KHak se

banda rahunga main tere is iltifat ka

nachiz hun magar main hun un ka fasana-go

quran hamd-nama hai jin ki sifat ka

roya hai mera dida-e-tar kis shahid ko

mashhur ho gaya hai jo chashma furaat ka

aae to aae aalam-e-arwah se wahan

dam bhar jahan nahin hai bharosa sabaat ka

dhum us ke husn ki hai do-alam mein ai 'shraf'

KHurshid roz ka hai wo mahtab raat ka

(971) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Se Hua Hai Ishq Tere Ism-e-zat Ka In English By Famous Poet Agha Hajju Sharaf. Jab Se Hua Hai Ishq Tere Ism-e-zat Ka is written by Agha Hajju Sharaf. Read famous Poem Jab Se Hua Hai Ishq Tere Ism-e-zat Ka for youth and Student by Agha Hajju Sharaf. Free Download Jab Se Hua Hai Ishq Tere Ism-e-zat Ka in PDF.