Ilahi KHair Jo Shar Wan Nahin To Yan Bhi Nahin
ilahi KHair jo shar wan nahin to yan bhi nahin
tammul is mein agar wan nahin to yan bhi nahin
kuchh un ghar se nahin kam hamara KHana-e-dil
jo aadmi ka guzar wan nahin to yan bhi nahin
wo jaan lete hain hum un pe jaan dete hain
nasihaton ka asar wan nahin to yan bhi nahin
mare miTenge hum ai dil yahi jo chashmak hai
safai madd-e-nazar wan nahin to yan bhi nahin
karega naz taDapne mein hum se kya bismil
kami-e-dard-e-jigar wan nahin to yan bhi nahin
wo tegh-zan hain to hum bhi jigar pe rokengi
jo ehtiyaj-e-sipar wan nahin to yan bhi nahin
wo be-KHabar hain jahan se to hum hain KHud-rafta
zamane ki jo KHabar wan nahin to yan bhi nahin
KHajil hain galon se un ke hamare daghon se
farogh-e-shams-o-qamar wan nahin to yan bhi nahin
tum aaine mein ye kis naznin se kahte the
baghaur dekh kamar wan nahin to yan bhi nahin
shab-e-mazar se kuchh kam nahin hai sham-e-firaq
agar asir-e-sahar wan nahin to yan bhi nahin
wo gali denge to bosa 'sharaf' main le lunga
lihaz-e-pas agar wan nahin to yan bhi nahin
(807) Peoples Rate This