Hum Hain Ai Yar ChaDhae Hue Paimana-e-ishq
hum hain ai yar chaDhae hue paimana-e-ishq
tere matwale hain mashhur hain mastana-e-ishq
dushmanon mein bhi raha rabt-e-mohabbat barson
KHush na aaya kasi mashuq ko yarana-e-ishq
mujh ko jo chah mohabbat ki hai majnun ko kahan
us ko laila hi ka sauda hai main diwana-e-ishq
jaan lenge ki wo dil lenge jinhen chaha hai
dekhiye karte hain kya aa ke wo jurmana-e-ishq
ja-ba-ja chahne walon ka jo majma dekha
kucha-e-yar ko samjha main jilau-KHana-e-ishq
sal-ha-sal se KHush-bash jo hun sahra mein
aalam-e-hu ko samajhta hun main virana-e-ishq
dil pisa chahta hai ja ke hina par us ki
KHirman-e-husn hua chahta hai dana-e-ishq
dil ka hai qasd teri bazm mein aD kar jaun
kya hi be-par ki uData hai ye parwana-e-ishq
har pari-zad ki hai jalwa-numa ek taswir
shisha-e-dil hai hamara ki pari-KHana-e-ishq
dil mera KHas makan hai jo teri ulfat ka
kahti hai sari KHudai ise kashana-e-ishq
kaun kis ka shab-e-mearaj mein hoga mashuq
ki hai kis shoKH ne ye mahfil-e-shahana-e-ishq
tu kare naz tujhe yar zamana chahe
ta-abad ye rahe aabaad tera KHana-e-ishq
us pari-ru ne jo dekha mere dil ko sad-chaak
apni zulfon mein kiya nam-e-hawa shana-e-ishq
aalam-e-nur teri shakl ka parwana hai
husn ki jaan hai tu aur hai jaanana-e-ishq
sar-ba-kaf ganj-e-shahidan mein chale jate hain
imtihan se nahin Darte tere farzana-e-ishq
naza mein sura-e-yusuf koi lillah paDhe
dam bhi nikle to marun sun ke main afsana-e-ishq
DabDabain meri aankhen to wo kya kahte hain
dekho labrez hain chhalkenge ye paimana-e-ishq
ai 'sharaf' kaun mere dil ke muqabil hoga
ek yahi sari KHudai mein hai mardana-e-ishq
(875) Peoples Rate This