Hue Aise Ba-dil Tere Shefta Hum Dil-o-jaan Ko Hamesha Nisar Kiya
hue aise ba-dil tere shefta hum dil-o-jaan ko hamesha nisar kiya
rah-e-ishq se phir na haTae qadam rahe mahw tere tujhe pyar kiya
tere shauq mein dil ki tabahi hui tere zauq ki us pe gawahi hui
koi dam bhi na lene diya mujhe dam mujhe dushman-e-sabr-o-qarar kiya
gai jaan qafas mein bara-e-chaman chali le ke jahan se hawa-e-chaman
kabhi abr-e-karam ne kiya na karam na kisi ne bayan-e-bahaar kiya
jahan mahke mahak gaya sara jahan bhala itr ko bu ye nasib kahan
ba-KHuda hi KHata kahen mushk-bu hum teri zulf pe sadqe nisar kiya
na lo ishq ka nam ye kahte ho kya jo ho tegh-tale bhi hamara gala
yahi hum kahe jaen KHuda ki qasam tumhein pyar kiya tumhein pyar kiya
tere hath se main jo shahid hua meri ruh ka ishq murid hua
jo hayat raha to na chhoDe qadam jo mara to tawaf-e-mazar kiya
tere shauq ne hum ko jo KHak kiya tere zauq ne KHak se pak kiya
tere rang ne mujh pe kiya ye karam mujhe tere chaman ka ghubar kiya
tere tir-e-hadaf ki hawas thi mujhe baDi hasrat-e-kunj-e-nafas thi mujhe
mujhe chuk kiya ye ghazab ye sitam na asir kiya na shikar kiya
tujhe chaha to rang ye miT ke jame tere bagh mein KHak se pak hue
mare tere chaman ki hawas mein jo hum to ghubar ko abr-e-bahaar kiya
na adam ki jo mujh ko sawari mili koi taKHt-e-rawan na amari mili
kai doston ne mere ho ke baham mujhe dosh par apni sawar kiya
hamein is ki kahin se KHabar na mili hui umr tamam magar na mili
kabhi us ne bhi haal kiya na raqam KHat-e-shauq rawana hazar kiya
tere roz-e-azal se farefta hain tere husn-o-jamal ke shefta hain
tere ishq mein ho gae kushta-e-gham wahi kar gae qaul jo yar kiya
tere bas mein jo aae to KHak hue jo ghubar hue bhi to KHak hue
rahe baad-e-fana bhi na chain se hum hamein gardish-e-lail-o-nahaar kiya
kabhi sair-e-chaman ka na shauq hua kisi bazm ka hum ko na zauq hua
tere kuche ko jaan ke bagh-e-iram yahin bulbul-e-jaan ko nisar kiya
jise chaha dil us pe nisar karen kabhi god mein len kabhi pyar karen
ye burai nasib ki wae-sitam wo harif hua jise pyar kiya
mujhe yar ne aa ke jo dekha hazin kaha roe ho main ne kaha ki nahin
wo kahe gae aankhon pe kyun hai waram 'sharaf' un se bahana hazar kiya
(1035) Peoples Rate This