Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_17d7e8d7b83edbe27defeec33a1e4b36, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hua Hai Taur-e-barbaadi Jo Be-dastur Pahlu Mein - Agha Hajju Sharaf Poetry In English - Darsaal

Hua Hai Taur-e-barbaadi Jo Be-dastur Pahlu Mein

hua hai taur-e-barbaadi jo be-dastur pahlu mein

dil-e-betab ko rahta hai na-manzur pahlu mein

ajab dil ko lagi hai lau ajab hai nur pahlu mein

kiya hai ishq ne raushan charagh-e-tur pahlu mein

kaha jo main ne mere dil ki ek taswir khinchwa do

manga kar rakh diya ek shisha chaknachur pahlu mein

KHushi ho ho ke ulfat mein jo bar-e-gham uThata hai

dil-e-shaida hai ya hai ishq ka mazdur pahlu mein

hawas hai dil ko tere hath se majruh hone ki

laga de ek chhuri ai qatil-e-maghrur pahlu mein

ham-aghoshi se jab se yar ne pahlu-tahi ki hai

usi din se hui hai be-kali mamur pahlu mein

teri taswir jab main DhunDne uThta hun jannat mein

biTha leti hai minnat kar ke mujh ko hur pahlu mein

taDap jata hai dil teri judai yaad aati hai

chamak jata hai ya-rab kis pari ka nur pahlu mein

tasadduq tujh pe jis dam najd mein ho jaega majnun

jagah dega tera diwana-e-maghfur pahlu mein

KHadang-e-naz ki aamad par aamad is mein rahti hai

ye bab-e-dil-kusha hai ya ki hai nasur pahlu mein

ilahi mere us ke wo ham-aghoshi ki surat ho

ki jaise dil ki hai pechidgi mashhur pahlu mein

hua is darja ghalba us pe ThanDi ThanDi sanson ka

ki aaKHir dil hamara ho gaya kafur pahlu mein

nai tir-e-lab-e-mashuq ne ki raKHna-pardazi

tasallut to kiya dil mein hua nasur pahlu mein

barabar apne baiThe dekha hai yusuf ko ruya mein

KHuda chahe to aa baiThe wo rashk-e-hur pahlu mein

muslim us ke hone ki 'sharaf' tadbir batlao

paDa hai muddaton se shisha-e-dil chur pahlu mein

(797) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hua Hai Taur-e-barbaadi Jo Be-dastur Pahlu Mein In English By Famous Poet Agha Hajju Sharaf. Hua Hai Taur-e-barbaadi Jo Be-dastur Pahlu Mein is written by Agha Hajju Sharaf. Read famous Poem Hua Hai Taur-e-barbaadi Jo Be-dastur Pahlu Mein for youth and Student by Agha Hajju Sharaf. Free Download Hua Hai Taur-e-barbaadi Jo Be-dastur Pahlu Mein in PDF.