Hawas Gulzar Ki Misl-e-anadil Hum Bhi Rakhte The
hawas gulzar ki misl-e-anadil hum bhi rakhte the
kabhi tha shauq-e-gul hum ko kabhi dil hum bhi rakhte the
qaza bhi tere hathon chahte the tujh ko kya kije
nahin to tegh-e-dam ke sath qatil hum bhi rakhte the
KHata-e-ishq par hum par na itna bhi sitam Dhao
agar chaha to chaha kya hua dil hum bhi rakhte the
KHuda ko ilm hai zinda hai ya jal-bhun gaya shab ko
dil apna tere parwanon mein shamil hum bhi rakhte the
meri jaan-baziyon par gor mein rustam ye kahta hai
na the aise jari go sher ka dil hum bhi rakhte the
ilaqa ishq ka lete ye soche honge barbaadi
wagarna naqd-e-jaan o sikka-e-dil hum bhi rakhte the
KHuda ke samne hogi jo pursish ishq-bazon ki
kahenge hum bhi itna ishq-e-kaamil hum bhi rakhte the
tamanna thi hamein bhi teri sohbat dekh lene ki
ki parwane the shauq-o-zauq-e-mahfil hum bhi rakhte the
baDe uqda-kusha the tum to hal is ko bhi karna tha
muhimm-e-ishq sar karne ki mushkil hum bhi rakhte the
talash-e-yar mein KHufiya gae ushshaq duniya se
KHabar bhi ki na hum ko shauq-e-manzil hum bhi rakhte the
koi lahza judai mein taDapne se na fursat thi
kabhi pahlu mein dil manind-e-bismil hum bhi rakhte the
junun ka zor tha dil mein jagah kar li thi wahshat ne
gharaz pesh-e-nazar laila o mahmil hum bhi rakhte the
jagah dil ki tarah pahlu mein di hoti hamein tum ne
liyaqat is sar-afraazi ke qabil hum bhi rakhte the
use kyunkar na kahte hum ki yakta hai KHudai mein
shanasa the tamiz-e-haqq-o-baatil hum bhi rakhte the
KHuda ne jaan chhuDwai 'sharaf' wo KHud bigaD baiTha
haqiqat mein ajab mashuq-e-jahil hum bhi rakhte the
(924) Peoples Rate This