Gada-e-daulat-e-didar-e-yar Hum Bhi Hain
gada-e-daulat-e-didar-e-yar hum bhi hain
hamein na bhuliyo ummid-war hum bhi hain
jo banda-parwar o zarra-nawaz-e-yar ho tum
to ye bhi dhyan rahe KHaksar hum bhi hain
jagah do hum ko bhi rahne ko tur par musa
bashar hain banda-e-parwardigar hum bhi hain
hazar shukr qalam-band hain shahidon mein
zahe-sharaf ki tere jaan-nisar hum bhi hain
pasand aai hai parwanon ki jo betabi
idhar bhi dekh lo tum be-qarar hum bhi hain
tamam umr hamari na aankh jhapkegi
jawan-e-marka-e-intizar hum bhi hain
unhin ki bu se moattar dimagh hai apna
wo rashk-e-gul hain to bagh-o-bahaar hum bhi hain
lipaT hi jao gale se hamare KHalwat mein
akele tum bhi ho is waqt yar hum bhi hain
jahan mein the ruKH-e-raushan ke tere parwane
umid-war-e-charagh-e-mazar hum bhi hain
kabhi na likhyo ishaara bhi hum ko chashmak ka
jawab likhne mein jadu-nigar hum bhi hain
KHabar hai husn-paraston ko wo nawazenge
hazar shukr ki ummid-war hum bhi hain
ghubar din ko hain shab ko chaman mein hain KHushbu
ajab do-rangi-e-lail-o-nahaar hum bhi hain
nishana takega koi to dil pukarega
kisi ke tir ke qabil shikar hum bhi hain
bahaar-e-gul mein shahidon ki ruhen kahti hain
'sharaf' miTe hue naqsh-o-nigar hum bhi hain
(2043) Peoples Rate This