Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e5e7ccc3bac596ea7f57ee3966363b11, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Fasl-e-gul Mein Hai Irada Su-e-sahra Apna - Agha Hajju Sharaf Poetry In English - Darsaal

Fasl-e-gul Mein Hai Irada Su-e-sahra Apna

fasl-e-gul mein hai irada su-e-sahra apna

rang kya dekhiye dikhlata hai sauda apna

ishq mein hum jo miTate hain kisi ko kya kaam

jaan apni hai dil apna hai kaleja apna

aah hum karte hain ai yar ke mahfil walo

donon hathon se jigar tham lo apna apna

puchhte kya ho judai mein jo guzri guzri

tum ko malum hai sab haal kahen kya apna

koi mushtaq raha jalwa kisi ne dekha

is ko kya kijiye maqsum hai apna apna

zindagi shart hai kya dard-e-jigar se hoga

apne haq mein to dam apna hai masiha apna

kaam aaya amal-e-nek mera turbat mein

lillahil-hamd ki ek dost to nikla apna

puchhte hain jo koi nam mera leta hai

jaante hain wo mujhe aashiq-e-shaida apna

najd mein dard-e-jigar qais bayan karta hai

KHub hi roegi dil tham ke laila apna

shahr se bhagte hain dasht mein ghabraate hain

dil bahalta hi nahin ab to kisi ja apna

eDiyan mujh se ragaDwaegi majnun ki tarah

nam rakkha hai shab-e-wasl ne laila apna

ai 'sharaf' KHair to hai haal hai kyun sakte ka

aaina le ke zara dekho to chehra apna

(814) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fasl-e-gul Mein Hai Irada Su-e-sahra Apna In English By Famous Poet Agha Hajju Sharaf. Fasl-e-gul Mein Hai Irada Su-e-sahra Apna is written by Agha Hajju Sharaf. Read famous Poem Fasl-e-gul Mein Hai Irada Su-e-sahra Apna for youth and Student by Agha Hajju Sharaf. Free Download Fasl-e-gul Mein Hai Irada Su-e-sahra Apna in PDF.