Dil Ko Afsos-e-jawani Hai Jawani Ab Kahan
dil ko afsos-e-jawani hai jawani ab kahan
koi dam mein chal basenge zindagani ab kahan
aap ulaTre hain wo parda wo kahani ab kahan
aashiqon se guftugu hai lan-tarani ab kahan
jab hamare pas the un ko hamara pas tha
thi hamari qadr jab thi qadr-dani ab kahan
ai pari-paikar tera mere hi dam tak tha banaw
surKH mubaf o libas-e-zafrani ab kahan
bad-mizaji naujawani ne sikhai hai unhen
dushman-e-jaan ho gae hain mehrbani ab kahan
yar aa nikla tha ai dil phir wo kyun aane laga
ho gaya ek ye bhi amr-e-na-gahani ab kahan
baad mere phir kisi ne bhi suni aawaz-e-yar
thi mujhi tak lan-tarani lan-tarani ab kahan
bagh mein nahren bhari hain phul phal ka tha maza
band hain kunj-e-qafas mein dana-pani ab kahan
teri aur apni haqiqat ja ke isa se kahun
is qadar taqat bhala ai na-tawani ab kahan
shefta jab tak na the shohrat thi zabt-o-sabr ki
dard-e-tanhai ki tab ai yar-e-jaani ab kahan
dil mein taqat thi taDap lete the bismil ki tarah
jaan mein haalat nahin wo jaan-fishani ab kahan
ghur lete the jafa-karon ko jab maftun na the
ho gae chaurang KHud changez-KHani ab kahan
apni qudrat us ne dikhla di shab-e-mearaj mein
ho chuki bas mehmani mehmani ab kahan
lahlahate the chaman maftun gulon par the bahaar
luT gai bu-bas ai barg-e-KHizani ab kahan
haal-e-dil kahwate the jab fasid aate jate the
nama-e-shauq aur paigham-e-zabani ab kahan
dagh-e-dil us ne diya tha dil ko hum ne kho diya
ai 'sharaf' us be-murawwat ki nishani ab kahan
(913) Peoples Rate This