Darpesh Ajal Hai Ganj-e-shahidan KHaridiye
darpesh ajal hai ganj-e-shahidan KHaridiye
turbat ke waste chamanistan KHaridiye
sauda pukarta hai ye fasl-e-bahaar mein
gulshan na mol lijiye zindan KHaridiye
bazar mein ye karti hain ghul meri beDiyan
sohan hamare kaTne ko yan KHaridiye
raft-o-guzasht bhi hua wahshat ka walwala
sozan barae-chaak-e-gareban KHaridiye
le lijiye mera dil-e-sad-chaak muft hai
shana barae-zulf-e-pareshan KHaridiye
bazar-e-mustafa hai KHaridar hai KHuda
KHud bikye yan na kuchh kisi unwan KHaridiye
jis waqt ja nikalte hain bazar-e-husn mein
himmat ye kahti hai ki paristan KHaridiye
hulla koi mangaiye jaan di hai aap par
KHilat hamare waste ai jaan KHaridiye
turbat pe meri hogi takalluf ki raushni
kafur bahr-e-sham-e-shabistan KHaridiye
karte hain shor ganj-e-shahidan mein gul-farosh
chadar barae-gor-e-ghariban KHaridiye
wahshat mein mushk ki na rasad muft lijiye
sauda hai bu-e-kakul-e-pechan KHaridiye
hota hai shauq-e-ishq mein rah rah ke walwala
majnun se dagh-e-dil sar-e-maidan KHaridiye
har-su amal junun ke qalam-rau mein chahiye
DhunDwa ke ek ek bayaban KHaridiye
hote hain jazb-e-ishq se pariyon ke jamghaTe
ek mulk misl-e-mulk-e-sulaiman KHaridiye
chaurang khelne mein harifon ke ai 'sharaf'
bachiye to tegh-e-rustam-e-dastan KHaridiye
(1175) Peoples Rate This