Chalte Hain Gulshan-e-firdaus Mein Ghar Lete Hain
chalte hain gulshan-e-firdaus mein ghar lete hain
tai ye manzil jo KHuda chahe to kar lete hain
ishq kis waste karte hain pari-zadon se
kis liye jaan par aafat ye bashar lete hain
dekhne bhi jo wo jate hain kisi ghael ko
ek namak-dan mein namak pis ke bhar lete hain
KHak uD jati hai suthraw udhar hota hai
nimcha khench ke wo bag jidhar lete hain
main wo bimar hun allah se ja ke isa
mere nusKHon ke liye hukm-e-asar lete hain
yar ne luT liya mujh watan-awara ko
log ghurbat mein musafir ki KHabar lete hain
is taraf hain ki jharoke mein udhar baiThe hain
jaeza kushton ka apne wo kidhar lete hain
Thik us rashk-e-chaman ko wo qaba hoti hai
nap kar jis ki rag-e-gul se kamar lete hain
kuchh Thikana hai pari-zadon ki be-rahmi ka
ishq-bazon se qisas aaTh pahar lete hain
ye naya zulm hai ghussa jo unhen aata hai
be-gunahon ko bhi maKHuz wo kar lete hain
shohrat us said-e-wafadar ki uD jati hai
tir mein jis ke lagane ko wo par lete hain
kahte hain huron ke dil mein tere kushton ke banaw
is liye KHun mein naha kar wo nikhar lete hain
kis qadar nama-o-paigham ko tarsaya hai
bhejte hain KHabar apni na KHabar lete hain
dam nikalte hain kalejon se lahu jari hai
sans ulTi tere taftida-jigar lete hain
chal khaDe honge to hasti main na phir Thahrenge
jaan-e-jaan chand nafas dam ye bashar lete hain
hai ishaara yahi mu-ha-e-mizha ka un ki
hum wo nashtar hain ki jo KHun-e-jigar lete hain
samna karte hain jis waqt gada ka tere
baadshah taKHt-e-rawan par se utar lete hain
sikka-e-dagh-e-junun pas hain rahna hoshyar
log raste mein 'sharaf' jeb katar lete hain
(1008) Peoples Rate This