Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ee266b22fb5db9b32bbc3d1bd764d7e3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Chahiyen Mujhko Nahin Zarrin Qafas Ki Putliyan - Agha Hajju Sharaf Poetry In English - Darsaal

Chahiyen Mujhko Nahin Zarrin Qafas Ki Putliyan

chahiyen mujh ko nahin zarrin qafas ki putliyan

aashiyan jaanun jo howen KHar-o-KHas ki putliyan

ho gain be-rang jab agle baras ki putliyan

KHun ro kar hum ne kin rangin qafas ki putliyan

hai ye fauladi qafas mujh na-tawan ka kya karun

kis tarah toDun nahin hain mere bas ki putliyan

kya KHuda ki shan hai aati hai jab fasl-e-bahaar

sab hari ho jati hain mere qafas ki putliyan

jab kabhi kunj-e-qafas mein ki hai main ne aah-e-garm

mom ho kar bah gai hain pesh-o-pas ki putliyan

ghar qafas ko main samajhta hun asiri ko murad

jaanta hun apni aahon ko hawas ki putliyan

paTriyan mere qafas ki shaKH-e-gul se kam nahin

loch ye dekha na dekhin aisi ras ki putliyan

gunjne lagta hai ye bhi jab fughan karta hun main

nasb hain mere qafas mein kya jaras ki putliyan

dekhiye shauq-e-asiri mein jakaDne ke liye

ho gain resham ka lachha sab qafas ki putliyan

ro rahi hai dekh kar laila jo us ko ai 'sharaf'

pasliyan majnun ki hain mere qafas ki putliyan

(806) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chahiyen Mujhko Nahin Zarrin Qafas Ki Putliyan In English By Famous Poet Agha Hajju Sharaf. Chahiyen Mujhko Nahin Zarrin Qafas Ki Putliyan is written by Agha Hajju Sharaf. Read famous Poem Chahiyen Mujhko Nahin Zarrin Qafas Ki Putliyan for youth and Student by Agha Hajju Sharaf. Free Download Chahiyen Mujhko Nahin Zarrin Qafas Ki Putliyan in PDF.