Aag Laga Di Pahle Gulon Ne Bagh Mein Wo Shadabi Ki
aag laga di pahle gulon ne bagh mein wo shadabi ki
aai KHizan gulzar mein jab gul-barg se gulKHan-tabi ki
kunj-e-lahad mein mujh ko sula ke puchhte hain wo logon se
nind unhen ab aa gai kyun-kar kya hui jo bad-KHwabi ki
soch mein hain kuchh pas nahin kis tarah adam tak pahunchenge
aa ke safar darpesh hua hai fikr hai be-asbabi ki
abr hai giryan kis ke liye malbus siyah hai kyun is ka
sog-nashin kis ka hai falak kya wajh aba-e-abi ki
zer-e-mahal us shoKH ke ja ke panw jo hum ne phailae
sharm-o-haya ne uThne na di chilman jo chhuTi mahtabi ki
dil ka Thikana kya main bataun haal na is ka kuchh puchho
dur karo hoga wo kahin galiyon mein aur sai har babi ki
dil na hua pahle jo bismil loTne se kya matlab tha
dhum thi jab KHush-bashiyon ki ab shohrat hai betabi ki
shamon ka aaKHir haal ye pahuncha sabr paDa parwanon ka
kawwe uTha ke le gae din ko pai saza sartabi ki
ghunche KHajil hain zikr se us ke tang dahan hai aisa us ka
nam hua unaqa-e-zamana dhum uDi nayabi ki
bajre lagae logon ne la ke un ke baramad hone ko
ashkon ne mere rah-e-wafa mein aaj to wo sailabi ki
KHat nahin paDta mere gale par tishna-e-hasrat marta hun
tegh teri be-ab hui thin aarzuen KHush-abi ki
rahm hai lazim tujh ko bhi gulchin dil na dukha tu bulbul ka
nikhat-e-gul ne us se kashish ki tab na thi betabi ki
naza mein ya-rab KHanda-jabin hun ruh jo nikle KHush nikle
pesh-e-nazar aaen jo farishte surat ho aarabi ki
kalghi ki ja par taj mein rakh le zauq rahe pa-bosi ka
pae agar bilqis kahin taswir teri gurgabi ki
paDh ke wazifa ishq ka us ke tum jo taDap ke rote ho
ruh na ho tahlil 'sharaf' hasrat se kisi wahabi ki
(927) Peoples Rate This