Fusun TuTta Hai
ye tajridi KHakon ki taswir-gah hai
mera munh chiDane ko diwar-o-dar par kai masKH paikar Tange hain
mujhe ghurte hain Daraate hain mujh ko
main un sidhi-ulTi lakiron ke dam-e-riya mein ulajh gaya hun
bil-aKHir fusun-e-riya TuTta hai
nigah ek taswir ke chaukhaTe par lagi chiT par aa kar ruki hai
wahan us ki qimat likhi hai
jise dekh kar main phir us paikar-e-masKH ko dekhta hun
jahan ek bhayanak dahan hai
jo bad-rang mathe par phaila hua hai
sada aa rahi hai
ye bazar hai misr ka
is mein mear ki koi qimat nahin hai
yahan ek anTi pe yusuf se paighambar bik chuke hain
yahan balki qimat hi mear Thahre
(772) Peoples Rate This