Waqt Ke Tufani Sagar Mein Krodh KapaT Ke Rele Hain
waqt ke tufani sagar mein krodh kapaT ke rele hain
lekin aas ke manjhi har lahza maujon se khele hain
pag pag kanTe manzilon sahra koson jangal bele hain
safar-e-zist kaThin hai yaro rah mein lakh jhamele hain
alakh jamae dhuni ramae dhyan lagae rahte hain
pyar hamara maslak hai hum prem-guru ke chele hain
rahzanon se ghabra kar sab sathi sangat chhoD gae
aur pur-KHauf Dagar par garm-e-safar hum aaj akele hain
husn ki daulat us ki hai aur wasl ki ishrat bhi us ki
jis ne pal pal hijr mein kaTa jaur sahe dukh jhele hain
bazi-gah-e-dar-o-rasan mein mai-kada-e-fikr-o-fan mein
hum rindon se raunaq hai hum durweshon se mele hain
jiwan ki komal abla ka swayamwar rachne wala hai
aao sala-e-am hai sab ko jitne bhi albele hain
(898) Peoples Rate This