KHush-qismat Hain Wo Jo Ganw Mein Lambi Tan Ke Sote Hain
KHush-qismat hain wo jo ganw mein lambi tan ke sote hain
hum to shahr ke shor mein shab-bhar apni jaan ko rote hain
kis kis dard ko apnaen aur kis kis zaKHm ko sahlaen
dekhti aankhon qadam qadam par kai hawadis hote hain
dil ki dilli luT gai is ke aiwanon mein ghadar machi
KHuddari ke mughal shahzade shahr mein Thaliya Dhote hain
KHush-lahnon ke liye gulshan bhi kunj-e-qafas ban jae to
jabr ke gun gate hain ya naghmon mein dard samote hain
sham ne din ka sath chhuDaya raat ne dasht mein aan liya
aise safar mein rahgiron par sans bhi dubhar hote hain
main to apni jaan pe khel ke pyar ki bazi jit gaya
qatil haar gae jo ab tak KHun ke chhinTe dhote hain
dil ke ziyan ka sabab kya puchho un tufanon ko dekho
jin ke bhanwar sahil ke safinon ko bhi aan Dubote hain
'parwez' aaj nahin milti hai KHum ke bhaw talchhaT bhi
is par turra ye hai ki saqi nashtar-e-tan chubhote hain
(988) Peoples Rate This