Rah-e-suluk Mein Bal Dalne Pe Rahta Hai
rah-e-suluk mein bal Dalne pe rahta hai
lahu ka khel KHalal Dalne pe rahta hai
ye dekhta nahin buniyaad mein hain haDDiyan kya
har ek apna mahal Dalne pe rahta hai
muhim pe rose nikalta hai tajir-e-barud
aur ek KHauf-e-ajal Dalne pe rahta hai
aur ek hath milata hai zahr pani mein
aur ek hath kanwal Dalne pe rahta hai
aur ek hath khilata hai shaKH par konpal
aur ek hath masal Dalne pe rahta hai
aur ek hath uThata hai parcham-e-awaz
aur ek hath kuchal Dalne pe rahta hai
aur ek hath baDhata hai irtiqa ka sarup
aur ek hath badal Dalne pe rahta hai
sab ek radd-e-amal ka amal hai aur nahin
jo ek radd-e-amal Dalne pe rahta hai
rujua la-mutazalzal hai jo masail ka
dimagh mein koi hal Dalne pe rahta hai
hum apna radd-o-badal Dal dete hain us mein
wo apna radd-o-badal Dalne pe rahta hai
miyan-e-sabit-o-sayyar irtikaz mera
abad ke bich azal Dalne pe rahta hai
ye subh-o-sham pe phaila hua mera hona
ye mere aaj mein kal Dalne pe rahta hai
har ek rahguzar se guzarta hai suraj
aur ek shua-e-aTal Dalne pe rahta hai
pasand aate nahin sidhe-sadhe log use
wo apne mathe pe bil Dalne pe rahta hai
rawish koi bhi ziyaada use nahin bhati
wo apna aap badal Dalne pe rahta hai
'nawed' tair-e-lahauti ka junun to nahin
jo Dal Dal pe phal Dalne pe rahta hai
(950) Peoples Rate This