Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_86406024ea30cbe1d98026530f449a42, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Pani Shajar Pe Phul Bana Dekhta Raha - Afzal Naved Poetry In English - Darsaal

Pani Shajar Pe Phul Bana Dekhta Raha

pani shajar pe phul bana dekhta raha

aur dasht mein babul bana dekhta raha

ayyam ke ghubar se nikla to der tak

main raston ko dhul bana dekhta raha

tu bazuon mein bhar ke gulabon ko so rahi

main bhi KHizan ka phul bana dekhta raha

konpal se ek lab se faramosh ho ke main

kis guftugu mein tul bana dekhta raha

baada-kashon ke KHun se chhalakta tha mai-kada

KHamiyaza-e-malul bana dekhta raha

pichhle khanDar se agle khanDar tak tha intizar

main aatma ki bhul bana dekhta raha

nam-o-numud haft-jihat saunp kar mujhe

suraj dhanak mein dhul bana dekhta raha

tha sabza-e-kashida daraKHton ke darmiyan

na-qabil-e-qubul bana dekhta raha

tajsim-e-nau-ba-nau ka karishma tha aur hi

main apna sa usul bana dekhta raha

lauh-o-qalam ki KHair-segali ke waste

shiraaza-e-nuzul bana dekhta raha

bante hi miT gaya tha KHabar hi na ho saki

main naqsh ko fuzul bana dekhta raha

chuTki se baDh ke tha na hajam phir bhi main 'nawed'

aameze mein hulul bana dekhta raha

(1256) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pani Shajar Pe Phul Bana Dekhta Raha In English By Famous Poet Afzal Naved. Pani Shajar Pe Phul Bana Dekhta Raha is written by Afzal Naved. Read famous Poem Pani Shajar Pe Phul Bana Dekhta Raha for youth and Student by Afzal Naved. Free Download Pani Shajar Pe Phul Bana Dekhta Raha in PDF.