Makan-e-KHwab Mein Jangal Ki Bas Rahne Lagi
makan-e-KHwab mein jangal ki bas rahne lagi
koi na aaya to zinon pe ghas rahne lagi
tere wajud ka jab se libas rahne lagi
liye diye hue mujh se kapas rahne lagi
ye aur baat anokhi si pyas rahne lagi
meri zaban pe us ki miThas rahne lagi
jhalak thi ya koi KHushbu-e-KHadd-o-KHal thi wo
chali gai to mere aas pas rahne lagi
gaya hujum liye baz-did naqsh-e-qadam
hawa-e-rahguzar bad-hawas rahne lagi
zarae jo the mayassar hue ghubar-e-shanaKHt
darun se chashm-e-darun na-shanas rahne lagi
abhi ghubar na utra tha sans ka andar
utarne ki pas-e-zindan bhaDas rahne lagi
utar phenk diya jo tha jism-e-bosida
sitaron ki koi utran libas rahne lagi
zyaada zor lagane se kuchh na ho sakta
so aae rose ki halchal hi ras rahne lagi
lahad ne daman-e-yaKH-basta khol kar rakkha
badan mein garmi-e-KHauf-o-hiras rahne lagi
na jaane andhe kuon ki wo tishnagi thi kya
har ek aankh mein jo be-libas rahne lagi
bigaD jis se ho paida koi bigaD nahin
so moajize ki mere dil ko aas rahne lagi
mughairat se bhari tirgi ke bich 'nawed'
ek andaruni ramaq ru-shanas rahne lagi
(1096) Peoples Rate This