Khaali Hua Gilas Nasha Sar Mein Aa Gaya
KHali hua gilas nasha sar mein aa gaya
dariya utar gaya to samundar mein aa gaya
yakjai ka tilism raha tari TuT kar
wo samne se haT ke barabar mein aa gaya
ja kar jahan pe rakkha tha hona kiya durust
itna sa kaam kar ke main pal bhar mein aa gaya
lekin baDai ka koi ehsas kab raha
chakkar tha duniya-dari ka chakkar mein aa gaya
aa ja ke munhasir raha nigarani par tamam
aksar se ja raha kabhi aksar mein aa gaya
yak gosha-e-wajud mein rakkha qayam kuchh
bahar baDa fasad tha so ghar mein aa gaya
TuTa kahin se aur gira sahn mein mere
sara parinda yun laga is par mein aa gaya
aawaz dunga sath mere aa sako to aao
thoDa jo aur haalat-e-behtar mein aa gaya
duniya ke KHwab dekhte guzra tamam rose
uThte hi KHwab-e-asl se daftar mein aa gaya
jagunga jab sada-e-uluhi sununga kuchh
jaanunga jab parinda sanobar mein aa gaya
shayad nazare ki yahi be-hayyati rahi
manzar se jaane par koi manzar mein aa gaya
hilna paDe na taki kisi ranj par mujhe
sare ka sara main kisi patthar mein aa gaya
KHud ko qayam karne pe targhib dunga main
koi jo ism kal mere mantar mein aa gaya
be-martaba bhi sans ka lena giran na tha
taqdis ka KHayal muqaddar mein aa gaya
bazar mein nigah na dil par paDi teri
nayab jins-e-dahr tha wafar mein aa gaya
sayyargan to apni rawish par the gamzan
lekin 'nawed' tu kahan chakkar mein aa gaya
(1083) Peoples Rate This