Ek Dhan Ko Ek Dhan Se Alag Kar Lun Aur Gaun
ek dhan ko ek dhan se alag kar lun aur gaun
sanson ka ek charagh kahin dhar lun aur gaun
gandhaar ki shua chunun phir shuaon se
yaqut sath-e-sang se chun kar lun aur gaun
sar-chashma-e-wajud ko hargiz na chheDun main
koyal se ek irada-e-tewar lun aur gaun
bheron mein din nikalta dikhaun main dahr ko
aur subh tak charaghon ki lo kar lun aur gaun
aur phail jaun chaaron taraf bazgasht sa
lab par tera wazifa-e-azbar lun aur gaun
aur dasht mere sath rahe bahta megh mein
barish mein apne waste ek ghar lun aur gaun
koyal pukarti rahe jamun ke peD par
man mein kisi nafas ka subu bhar lun aur gaun
kalyan ke ujale mein phirti hai shab kahin
main sham hi se kandhe pe chadar lun aur gaun
aa jaun apni gardish-e-sayyargan ko main
chakkar pe ek dusra chakkar lun aur gaun
ye waqt hai bahae hue kaenat ko
naddi ki lahron se koi jhaalar lun aur gaun
rahti hai bas-ki rakh zamanon ki taq par
main bhi charagh-e-hijr ka chakkar lun aur gaun
jalne lage jo shahr to sara unDel dun
ja kar kisi kinare se phir bhar lun aur gaun
aangan mein jagte hain gul-o-lala raat bhar
main bhi kisi ke kanTon ka bistar lun aur gaun
aawaz chakna-chur ho shor-e-lahad ke bich
sang-e-mazar se koi Thokar lun aur gaun
milna kisi se raKHna-e-awargi to hai
mil kar kisi se dusra mehwar lun aur gaun
ruKHsat ke waqt TuT gaya jo pahaD tha
sine mein tere panw ke kankar lun aur gaun
lagne laga hujum-e-shar-angezi har taraf
yaksui-e-KHumar ko hi sar lun aur gaun
jo jo parinda baiTha hua tha so uD gaya
pahlu mein apna KHali sa pinjar lun aur gaun
din raat mein baDe baDe aate hain inqalab
lekin main tera nam barabar lun aur gaun
jhukne lagi hai qaus-e-quzah subh-dam 'nawed'
ye Tokari gulab ki sar par lun aur gaun
(1725) Peoples Rate This