Dikhai De Ki Shua-e-basir Khinchta Hun
dikhai de ki shua-e-basir khinchta hun
ghubar khinch jigar ka lakir khinchta hun
dikhai deta hun tanha safine mein lekin
kinare lagte hi jamm-e-ghafir khinchta hun
mere jilau se koi kahkashan nahin bachti
main khinchne pe jo aaun aKHir khinchta hun
umaD paDi hai jo yaksar KHizan ke dhaare se
gulabi-e-nigah-e-na-guzir khinchta hun
fishaar paDta hai gahra koi rag-o-pai mein
kali kali se subu-e-abir khinchta hun
ki jaise KHud se mulaqat ho nahin pati
jahan se uTTha hua hai KHamir khinchta hun
hazaron aaine har lahza KHali hote hain
palaT palaT ke wahi aks-e-pir khinchta hun
mufahamat se jo had par ho to ho jae
bandha hua rag-e-jaan se zamir khinchta hun
jin aasmanon mein sayyal-e-waqt sakit hai
kamand Dal wahan ju-e-shir khinchta hun
magar hawa-o-hawas par hi KHarch ho jae
har ek jhonke se baad-e-kasir khinchta hun
irade bhanp tere ja dhaDakta hai dar par
paDa hua pas-e-zindan asir khinchta hun
baghair bhed na an-honi se bacha jae
palaT ke aata hai aksar jo tir khinchta hun
tilism-e-zulf hifazat ka pinjra ho jaise
maze jahan ke ho kar asir khinchta hun
ye dekh kar-e-jahan ne na dhajjiyan chhoDin
teri gali ki taraf ab sharir khinchta hun
'nawed' kar to diya shahr-e-aina pamal
ab andaruni saf-e-dar-o-gir khinchta hun
(815) Peoples Rate This