Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bc6251a9fc0f998421a97e8ec57ea5de, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mujhe Batlaiye Ab Kaun Si Jine Ki Surat Hai - Afzal Minhas Poetry In English - Darsaal

Mujhe Batlaiye Ab Kaun Si Jine Ki Surat Hai

mujhe batlaiye ab kaun si jine ki surat hai

zamana is ghane jangal mein ek chite ki surat hai

bikharte jism le kar tund tufanon mein baiThe hain

koi zarre ki surat hai koi Tile ki surat hai

chura laya tha aankhon mein jo ek taswir duniya ki

wo ab sahra mein ek sahme hue bachche ki surat hai

meri tahrir ke har lafz mein zinda hain aawazen

magar hairan hun chehra mera katbe ki surat hai

ye kaisi aag hai 'afzal' jale sae bhi peDon ke

dhuen mein kis taraf jaun ajab raste ki surat hai

(861) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Batlaiye Ab Kaun Si Jine Ki Surat Hai In English By Famous Poet Afzal Minhas. Mujhe Batlaiye Ab Kaun Si Jine Ki Surat Hai is written by Afzal Minhas. Read famous Poem Mujhe Batlaiye Ab Kaun Si Jine Ki Surat Hai for youth and Student by Afzal Minhas. Free Download Mujhe Batlaiye Ab Kaun Si Jine Ki Surat Hai in PDF.