Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_eb9f1c400a314a8d0f2e6f618c772f4b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main Faqat Is Jurm Mein Duniya Mein Ruswa Ho Gaya - Afzal Minhas Poetry In English - Darsaal

Main Faqat Is Jurm Mein Duniya Mein Ruswa Ho Gaya

main faqat is jurm mein duniya mein ruswa ho gaya

main ne jis chehre ko dekha tere jaisa ho gaya

chand mein kaise nazar aae teri surat mujhe

aandhiyon se aasman ka rang maila ho gaya

ek main hi raushni ke KHwab ko tarsa nahin

aaj to suraj bhi jab nikla to andha ho gaya

ye bhi shayad zindagi ki ek ada hai dosto

jis ko sathi mil gaya wo aur tanha ho gaya

ek patthar zindagi ne tak kar mara mujhe

choT wo khai ki sara jism dohra ho gaya

mil gaya miTTi mein jab 'afzal' to ye aai sada

gir gai diwar aur saya akela ho gaya

(1120) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Faqat Is Jurm Mein Duniya Mein Ruswa Ho Gaya In English By Famous Poet Afzal Minhas. Main Faqat Is Jurm Mein Duniya Mein Ruswa Ho Gaya is written by Afzal Minhas. Read famous Poem Main Faqat Is Jurm Mein Duniya Mein Ruswa Ho Gaya for youth and Student by Afzal Minhas. Free Download Main Faqat Is Jurm Mein Duniya Mein Ruswa Ho Gaya in PDF.