Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ed08061a5c2231f047830fccc44643f9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Karb Ke Shahr Se Nikle To Ye Manzar Dekha - Afzal Minhas Poetry In English - Darsaal

Karb Ke Shahr Se Nikle To Ye Manzar Dekha

karb ke shahr se nikle to ye manzar dekha

hum ko logon ne bulaya hamein chhu kar dekha

wo jo barsat mein bhiga to nigahen uTThin

yun laga hai koi tursha hua patthar dekha

koi saya bhi na sahme hue ghar se nikla

hum ne TuTi hui dahliz ko aksar dekha

soch ka peD jawan ho ke bana aisa rafiq

zehn ke qad ne use apne barabar dekha

jab bhi chaha hai ki malbus-e-wafa ko chhu len

misl-e-KHushbu koi uDta hua paikar dekha

raqs karte hue lamhon ki zaban gung hui

apne sine mein jo utra hua KHanjar dekha

zindagi itni pareshan hai ye socha bhi na tha

us ke atraf mein sholon ka samundar dekha

raat bhar KHauf se chaTKHe the sahar ki KHatir

subh-dam KHud ko bikharte hue dar par dekha

wo jo uDti hai sada dast-e-wafa mein 'afzal'

usi miTTi mein nihan dard ka gauhar dekha

(911) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Karb Ke Shahr Se Nikle To Ye Manzar Dekha In English By Famous Poet Afzal Minhas. Karb Ke Shahr Se Nikle To Ye Manzar Dekha is written by Afzal Minhas. Read famous Poem Karb Ke Shahr Se Nikle To Ye Manzar Dekha for youth and Student by Afzal Minhas. Free Download Karb Ke Shahr Se Nikle To Ye Manzar Dekha in PDF.