Kanch Ki Zanjir TuTi To Sada Bhi Aaegi
kanch ki zanjir TuTi to sada bhi aaegi
aur bhare bazar mein tujh ko haya bhi aaegi
itr mein kapDe basa kar mutmain hai kis liye
ba-wafa hu ja ki yun bu-e-wafa bhi aaegi
dekh le sahil se ji bhar ke machalti lahr ko
is taraf kuchh der mein mauj-e-fana bhi aaegi
dudhiya nazuk gale mein bandh le tawiz ko
aaj sunta hun ki basti mein bala bhi aaegi
raat ke pichhle pahar dastak ka rakh lena KHayal
patte khaDkenge zara aawaz-e-pa bhi aaegi
ujli ujli KHwahishon par nind ki chadar na Dal
yaad ke rauzan se kuchh taza hawa bhi aaegi
ja chuke sare bagule fikr ki kya baat hai
khet ko sairab karne ab ghaTa bhi aaegi
daur ke logon ko nazron mein basa kar dekh le
qurb mil jaega aankhon mein jila bhi aaegi
shahr-e-na-pursan ke manzar naqsh kar le zehn mein
aankh raste mein koi manzar gira bhi aaegi
dil ki masjid mein kabhi paDh le tahajjud ki namaz
phir sahar ke waqt honTon par dua bhi aaegi
zindagi ka ye maraz 'afzal' chala hi jaega
tere hathon mein kabhi KHak-e-shifa bhi aaegi
(1000) Peoples Rate This