Jo ShaKHs Bhi Mila Hai Wo Ek Zinda Lash Hai
jo shaKHs bhi mila hai wo ek zinda lash hai
insan ki dastan baDi dil-KHarash hai
daman darida qalb-o-nazar zaKHm zaKHm hain
ab shahr-e-arzu mein yahi bud-o-bash hai
bas ab to rah gai hai dikhawe ki zindagi
sanson ke tar tar mein ek irtiash hai
miTTi ne pi liya hai hararat bhara lahu
josh-e-numu mila to badan qash qash hai
kanTon ne bhi KHizan ki ghulami qubul ki
dekho to aaj chehra-e-gul pur-KHarash hai
wo daur ab kahan ki tumhaari ho justuju
is daur mein to hum ko KHud apni talash hai
'afzal' wo ban sanwar ke to aa jaenge kabhi
aaina-e-hayat magar pash pash hai
(1608) Peoples Rate This