Gir PaDa Tu AaKHiri Zine Ko Chhu Kar Kis Liye
gir paDa tu aaKHiri zine ko chhu kar kis liye
aa gaya phir aasmanon se zamin par kis liye
aaina-KHanon mein chhup kar rahne wale aur hain
tum ne hathon mein uTha rakkhe hain patthar kis liye
main ne apni har masarrat dusron ko baKHsh di
phir ye hangama bapa hai ghar se bahar kis liye
aks paDte hi musawwir ka qalam tharra gaya
naqsh ek aab-e-rawan par hai ujagar kis liye
ek hi fankar ke shahkar hain duniya ke log
koi bartar kis liye hai koi kam-tar kis liye
KHushbuon ko mausamon ka zahr pina hai abhi
apni sansen kar rahe ho yun moattar kis liye
itni ahmiyat ke qabil to na tha miTTi ka ghar
ek nuqte mein simaT aaya samundar kis liye
puchhta hun sab se afzal koi batlata nahin
bebasi ki maut marte hain suKHan-war kis liye
(779) Peoples Rate This