Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_25e8097b25c97afcc49f3fbc240f6932, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gahra Sukut Zehn Ko Behaal Kar Gaya - Afzal Minhas Poetry In English - Darsaal

Gahra Sukut Zehn Ko Behaal Kar Gaya

gahra sukut zehn ko behaal kar gaya

sochon ke phul phul ko pamal kar gaya

suraj ne apni aanch ko wapas bula liya

lekin mere lahu ko wo sayyal kar gaya

kya faisla diya hai adalat ne chhoDiye

mujrim to apne jurm ka iqbaal kar gaya

jo log dur the wo bahut dur ho gae

ye taza hadisa bhi gaya sal kar gaya

sahme hue hain chaaron taraf raushni ke aks

ek hath aa ke surKH kai gal kar gaya

main do qadam chala tha ki Dhalwan aa gai

'afzal' safar to mera bura haal kar gaya

(898) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gahra Sukut Zehn Ko Behaal Kar Gaya In English By Famous Poet Afzal Minhas. Gahra Sukut Zehn Ko Behaal Kar Gaya is written by Afzal Minhas. Read famous Poem Gahra Sukut Zehn Ko Behaal Kar Gaya for youth and Student by Afzal Minhas. Free Download Gahra Sukut Zehn Ko Behaal Kar Gaya in PDF.