Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_03e1efd11f90ad1855624e45b95ee366, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ek Paikar Yun Chamak UTTha Hai Mere Dhyan Mein - Afzal Minhas Poetry In English - Darsaal

Ek Paikar Yun Chamak UTTha Hai Mere Dhyan Mein

ek paikar yun chamak uTTha hai mere dhyan mein

koi jugnu uD raha ho jis tarah tufan mein

har bagula bastiyon ki samt lahrane laga

aashna chehre bhi ab aate nahin pahchan mein

kya qayamat hai ki koi puchhne wala nahin

zindagi tanha khaDi hai hashr ke maidan mein

waqt paDte hi hue ru-posh sab halqa-ba-gosh

ek yahi KHubi to hai is daur ke insan mein

aaine yaadon ke main ne toD Dale the magar

chand chehre phir ubhar aae mere wijdan mein

log meri maut ke KHwahan hain 'afzal' kis liye

chand ghazlon ke siwa kuchh bhi nahin saman mein

(730) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Paikar Yun Chamak UTTha Hai Mere Dhyan Mein In English By Famous Poet Afzal Minhas. Ek Paikar Yun Chamak UTTha Hai Mere Dhyan Mein is written by Afzal Minhas. Read famous Poem Ek Paikar Yun Chamak UTTha Hai Mere Dhyan Mein for youth and Student by Afzal Minhas. Free Download Ek Paikar Yun Chamak UTTha Hai Mere Dhyan Mein in PDF.