Us Lamhe Tishna-lab Ret Bhi Pani Hoti Hai

us lamhe tishna-lab ret bhi pani hoti hai

aandhi chale to sahra mein tughyani hoti hai

nasr mein jo kuchh kah nahin sakta sher mein kahta hun

is mushkil mein bhi mujh ko aasani hoti hai

jaane kya kya zulm parinde dekh ke aate hain

sham Dhale peDon par marsiya-KHwani hoti hai

ishq tumhaara khel hai baz aaya is khel se mein

mere sath hamesha be-imani hoti hai

kyun apni tariKH se nalan hain is shahr ke log

Dah dete hain jo tamir purani hoti hai

ye nukta ek qissa-go ne mujh ko samjhaya

har kirdar ke andar ek kahani hoti hai

itni sari yaadon ke hote bhi jab dil mein

virani hoti hai to hairani hoti hai

(959) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Lamhe Tishna-lab Ret Bhi Pani Hoti Hai In English By Famous Poet Afzal Khan. Us Lamhe Tishna-lab Ret Bhi Pani Hoti Hai is written by Afzal Khan. Read famous Poem Us Lamhe Tishna-lab Ret Bhi Pani Hoti Hai for youth and Student by Afzal Khan. Free Download Us Lamhe Tishna-lab Ret Bhi Pani Hoti Hai in PDF.