Shikast-e-zindagi Waise Bhi Maut Hi Hai Na

shikast-e-zindagi waise bhi maut hi hai na

to sach bata ye mulaqat aaKHiri hai na

kaha nahin tha mera jism aur bhar yarab

so ab ye KHak tere pas bach gai hai na

tu mere haal se anjaan kab hai ai duniya

jo baat kah nahin paya samajh rahi hai na

isi liye hamein ehsas-e-jurm hai shayad

abhi hamari mohabbat nai nai hai na

ye kor-chashm ujalon se ishq karte hain

jo ghar jala ke bhi kahte hain raushni hai na

main KHud bhi yar tujhe bhulne ke haq mein hun

magar jo bich mein kam-baKHt shaeri hai na

main jaan-bujh ke aaya tha tegh aur tere bich

miyan nibhani to paDti hai dosti hai na

(959) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shikast-e-zindagi Waise Bhi Maut Hi Hai Na In English By Famous Poet Afzal Khan. Shikast-e-zindagi Waise Bhi Maut Hi Hai Na is written by Afzal Khan. Read famous Poem Shikast-e-zindagi Waise Bhi Maut Hi Hai Na for youth and Student by Afzal Khan. Free Download Shikast-e-zindagi Waise Bhi Maut Hi Hai Na in PDF.