Mujhe Rona Nahin Aawaz Bhi Bhaari Nahin Karni

mujhe rona nahin aawaz bhi bhaari nahin karni

mohabbat ki kahani mein adakari nahin karni

hawa ke KHauf se lipTa hua hun KHushk Tahni se

kahin jaana nahin jaane ki tayyari nahin karni

tahammul ai mohabbat hijr pathrila ilaqa hai

tujhe is raste par tez-raftari nahin karni

hamara dil zara ukta gaya tha ghar mein rah rah kar

yunhi bazar aae hain KHaridari nahin karni

ghazal ko kam-nigahon ki pahunch se dur rakhta hun

mujhe banjar dimaghon mein shajar-kari nahin karni

wasiyyat ki thi mujh ko qais ne sahra ke bare mein

ye mera ghar hai is ki chaar-diwari nahin karni

(1852) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhe Rona Nahin Aawaz Bhi Bhaari Nahin Karni In English By Famous Poet Afzal Khan. Mujhe Rona Nahin Aawaz Bhi Bhaari Nahin Karni is written by Afzal Khan. Read famous Poem Mujhe Rona Nahin Aawaz Bhi Bhaari Nahin Karni for youth and Student by Afzal Khan. Free Download Mujhe Rona Nahin Aawaz Bhi Bhaari Nahin Karni in PDF.