Kal Apne Shahr Ki Bas Mein Sawar Hote Hue
kal apne shahr ki bas mein sawar hote hue
wo dekhta tha mujhe ashk-bar hote hue
parinde aae to gumbad pe baiTh jaenge
nahin shajar ki zarurat mazar hote hue
hai ek aur bhi surat raza-o-kufr ke bich
ki shak bhi dil mein rahe e'tibar hote hue
mere wajud se dhaga nikal gaya hai dost
main be-shumar hua hun shumar hote hue
Dubo raha hai mujhe Dubne ka KHauf ab tak
bhanwar ke bich hun dariya ke par hote hue
wo qaid-KHana ghanimat tha mujh se be-ghar ko
ye zehn hi mein na aaya farar hote hue
(977) Peoples Rate This