Jab Ek Sarab Mein Pyason Ko Pyas Utarti Hai

jab ek sarab mein pyason ko pyas utarti hai

mere yaqin ko qarin-e-qayas utarti hai

hamare shahr ki ye wahshiyana aab-o-hawa

har ek ruh mein jangal ki bas utarti hai

ye zindagi to lubhane lagi hamein aise

ki jaise koi hasina libas utarti hai

tumhaare aane ki afwah bhi sar aankhon par

ye baam-o-dar se udasi ki ghas utarti hai

main siKH-pa hun bahut zindagi ki gaDi par

ye roz sham mujhe ghar ke pas utarti hai

hamara jism sukun chahta hai aur ye raat

thakan utarne aati hai mas utarti hai

(1080) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Ek Sarab Mein Pyason Ko Pyas Utarti Hai In English By Famous Poet Afzal Khan. Jab Ek Sarab Mein Pyason Ko Pyas Utarti Hai is written by Afzal Khan. Read famous Poem Jab Ek Sarab Mein Pyason Ko Pyas Utarti Hai for youth and Student by Afzal Khan. Free Download Jab Ek Sarab Mein Pyason Ko Pyas Utarti Hai in PDF.