Nind Aai Na Khula Raat Ka Bistar Mujhse
nind aai na khula raat ka bistar mujh se
guftugu karta raha chand barabar mujh se
apna saya use KHairaat mein de aaya hun
dhup ke Dar se jo lipTa raha din bhar mujh se
kaun si aisi kami mere KHad-o-KHal mein hai
aaina KHush nahin hota kabhi mil kar mujh se
kya musibat hai ki har din ki mashaqqat ke ewaz
bandh jata hai koi raat ka patthar mujh se
dasht ki samt nikal aaya hai mera dariya
bas isi par hain KHafa sare samundar mujh se
apne hathon ko jo kashkol banaya 'gauhar'
gir paDa jaane kahan mera muqaddar mujh se
(932) Peoples Rate This