Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b23b8a12355bc2102e540275498bab19, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main KHud Ko Is Liye Manzar Pe Lane Wala Nahin - Afzal Gauhar Rao Poetry In English - Darsaal

Main KHud Ko Is Liye Manzar Pe Lane Wala Nahin

main KHud ko is liye manzar pe lane wala nahin

ki aaina meri surat dikhane wala nahin

tere falak ka agar chand bujh gaya hai to kya

diya zamin pe bhi koi jalane wala nahin

samundaron ki taraf ja raha hun jalta hua

ki meri aag ko baadal bujhane wala nahin

ye kaun nind mein aakar sirhane baiTh gaya

main apna KHwab kisi ko batane wala nahin

ab is qadar bhi takalluf se mil rahe ho kyun

tumhaare sath to rishta zamane wala nahin

kamar kaman hui ja rahi yun 'gauhar'

main jaise KHud ko dobara uThane wala nahin

(779) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main KHud Ko Is Liye Manzar Pe Lane Wala Nahin In English By Famous Poet Afzal Gauhar Rao. Main KHud Ko Is Liye Manzar Pe Lane Wala Nahin is written by Afzal Gauhar Rao. Read famous Poem Main KHud Ko Is Liye Manzar Pe Lane Wala Nahin for youth and Student by Afzal Gauhar Rao. Free Download Main KHud Ko Is Liye Manzar Pe Lane Wala Nahin in PDF.