Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_236a86f35ae8f34cb73db039ff570f34, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Isi Liye Bhi Nae Safar Se Bandhe Hue Hain - Afzal Gauhar Rao Poetry In English - Darsaal

Isi Liye Bhi Nae Safar Se Bandhe Hue Hain

isi liye bhi nae safar se bandhe hue hain

ki hum parinde to baal-o-par se bandhe hue hain

tumhein hi sahra sambhaalne ki paDi hui hai

nikal ke ghar se bhi hum to ghar se bandhe hue hain

kisi ne din mein tamam chhanw utar li hai

ye barg o gul to yunhi shajar se bandhe hue hain

yahan bhala kaun apni marzi se ji raha hai

sabhi ishaare teri nazar se bandhe hue hain

sagan-e-kucha-e-dilbaran ki misal hum to

riha bhi ho kar kisi ke dar se bandhe hue hain

zamin KHud hum ko khinchti phir rahi hai 'gauhar'

ajib aalam mein rahguzar se bandhe hue hain

(729) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Isi Liye Bhi Nae Safar Se Bandhe Hue Hain In English By Famous Poet Afzal Gauhar Rao. Isi Liye Bhi Nae Safar Se Bandhe Hue Hain is written by Afzal Gauhar Rao. Read famous Poem Isi Liye Bhi Nae Safar Se Bandhe Hue Hain for youth and Student by Afzal Gauhar Rao. Free Download Isi Liye Bhi Nae Safar Se Bandhe Hue Hain in PDF.