Yaadon Ke Nasheman Ko Jalaya To Nahin Hai

yaadon ke nasheman ko jalaya to nahin hai

hum ne tujhe is dil se bhulaya to nahin hai

kaunain ki wusat bhi simaT jati hai jis mein

ai dil kahin tujh mein wo samaya to nahin hai

har shai se wo zahir hai ye ehsan hai us ka

KHud ko meri nazron se chhupaya to nahin hai

zulfon ki syahi mein ajab husn-e-nihan hai

ye raat usi husn ka saya to nahin hai

waqif hain tere dard se ai naghma-e-ulfat

hum ne tujhe har saz pe gaya to nahin hai

us ne jo likha tha kabhi sahil ki jabin par

us nam ko maujon ne miTaya to nahin hai

wo shahar ki is bhiD mein aata nahin 'afzal'

phir bhi chalo dekhen kahin aaya to nahin hai

(773) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaadon Ke Nasheman Ko Jalaya To Nahin Hai In English By Famous Poet Afzal Allahabadi. Yaadon Ke Nasheman Ko Jalaya To Nahin Hai is written by Afzal Allahabadi. Read famous Poem Yaadon Ke Nasheman Ko Jalaya To Nahin Hai for youth and Student by Afzal Allahabadi. Free Download Yaadon Ke Nasheman Ko Jalaya To Nahin Hai in PDF.