Sulagti Ret Pe Tahrir Jo Kahani Hai
sulagti ret pe tahrir jo kahani hai
mere junun ki ek anmol wo nishani hai
main apne aap ko tanha samajh raha tha magar
suna hai tum ne bhi sahra ki KHak chhani hai
ghamon ki dhup mein rahna hai saeban ki tarah
KHayal-e-gesu-e-jaanan ki mehrbani hai
kabhi udhar se jo guzrega karwan apna
to hum bhi dekhenge dariya mein kitna pani hai
main ab bhi shan se zinda hun shahr-e-qatil mein
mere KHuda ki yaqinan ye mehrbani hai
bura na mano to main saf saf ye kah dun
tumhaare pyar ka dawa faqat zabani hai
andhera rahta na baqi kahin magar 'afzal'
kab aandhiyon ne charaghon ki baat mani hai
(987) Peoples Rate This